kabhi jo uljhe junun se KHirad ne tham liya
kabhi jo uljhe junun se KHirad ne tham liya
Mohammad Ahsan Wahidi
MORE BYMohammad Ahsan Wahidi
kabhī jo uljhe junūñ se ḳhirad ne thaam liyā
kabhī to ham ne junūñ se ḳhirad kā kaam liyā
tirī nigāh-e-ḳhumārīñ meñ jaane kyā shai thī
chhalak ke jaam rahā jab bhī ham ne jaam liyā
ufuq pe ḳhvāb ke ubhre hazār-hā mahtāb
kabhī jo tū ne nigāh-e-ġhalat se kaam liyā
lagā dī aag junūñ ne tamām gulshan ko
kisī ne hosh meñ jo rang-o-bū kā naam liyā
kahāñ na uljhe havādis se zindagī ke liye
hujūm-e-ġham meñ tabassum se ham ne kaam liyā
kabhi jo uljhe junun se KHirad ne tham liya
kabhi to hum ne junun se KHirad ka kaam liya
teri nigah-e-KHumarin mein jaane kya shai thi
chhalak ke jam raha jab bhi hum ne jam liya
ufuq pe KHwab ke ubhre hazar-ha mahtab
kabhi jo tu ne nigah-e-ghalat se kaam liya
laga di aag junun ne tamam gulshan ko
kisi ne hosh mein jo rang-o-bu ka nam liya
kahan na uljhe hawadis se zindagi ke liye
hujum-e-gham mein tabassum se hum ne kaam liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.