kabhi jo viraniyon mein dekha ghana sa ek bhi shajar nahin hai
kabhi jo viraniyon mein dekha ghana sa ek bhi shajar nahin hai
Uvais Girach
MORE BYUvais Girach
kabhī jo vīrāniyoñ meñ dekhā ghanā sā ik bhī shajar nahīñ hai
shajar bhī aise haiñ dekh rakkhe ki jis meñ koī samar nahīñ hai
sabhī nazāre mirī nazar meñ ġhubār ban kar simaT ga.e haiñ
tujhe na aayā nazar to shāyad nazar meñ terī asar nahīñ hai
ajiib hogī havā kī sūrat ġhazab kī hogī havā kī rangat
tujhe bhī is kā pata nahīñ hai mujhe bhī is kī ḳhabar nahīñ hai
vo āsmāñ kā buland manzar ye farsh kī vus.atoñ ko dekho
yahāñ to sab kuchh bashar bashar hai vahāñ pe koī bashar nahīñ hai
ye merī āñkheñ haiñ in meñ dekho samundaroñ kī ravāniyāñ haiñ
tū dekh saktā inheñ musalsal junūn tujh meñ magar nahīñ hai
falak ke uupar hai chāñd raushan zamīn par āftāb raushan
falak ke upar shajar nahīñ hai zamīñ ke uupar qamar nahīñ hai
ka.ī ujāle haiñ din meñ rahte ka.ī ujāle haiñ shab ke andar
vo chāñd taare yahāñ nahīñ hai idhar jo hai vo udhar nahīñ hai
kabhi jo viraniyon mein dekha ghana sa ek bhi shajar nahin hai
shajar bhi aise hain dekh rakkhe ki jis mein koi samar nahin hai
sabhi nazare meri nazar mein ghubar ban kar simaT gae hain
tujhe na aaya nazar to shayad nazar mein teri asar nahin hai
ajib hogi hawa ki surat ghazab ki hogi hawa ki rangat
tujhe bhi is ka pata nahin hai mujhe bhi is ki KHabar nahin hai
wo aasman ka buland manzar ye farsh ki wusaton ko dekho
yahan to sab kuchh bashar bashar hai wahan pe koi bashar nahin hai
ye meri aankhen hain in mein dekho samundaron ki rawaniyan hain
tu dekh sakta inhen musalsal junun tujh mein magar nahin hai
falak ke upar hai chand raushan zamin par aaftab raushan
falak ke upar shajar nahin hai zamin ke upar qamar nahin hai
kai ujale hain din mein rahte kai ujale hain shab ke andar
wo chand tare yahan nahin hai idhar jo hai wo udhar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.