kabhi-kabhaar ajab waqt aan paDta hai
kabhī-kabhār 'ajab vaqt aan paḌtā hai
na yaad paḌtā hai koī na dhyān paḌtā hai
barahnagī hai kuchh aisī ki jism Dhāñpne ko
zamīñ ke vāste kam āsmān paḌtā hai
ye jānte hue bhī dhuup meñ qayām kiyā
zarā se fāsle par sā.ebān paḌtā hai
kisī zamāne meñ manzil ke paas hotā thā
vo sang-e-mīl jo ab darmiyān paḌtā hai
na kam samajh safar-e-'umr-e-yak-nafas ko 'jamāl'
is ek raah meñ saarā jahān paḌtā hai
kabhi-kabhaar 'ajab waqt aan paDta hai
na yaad paDta hai koi na dhyan paDta hai
barahnagi hai kuchh aisi ki jism Dhanpne ko
zamin ke waste kam aasman paDta hai
ye jaante hue bhi dhup mein qayam kiya
zara se fasle par saeban paDta hai
kisi zamane mein manzil ke pas hota tha
wo sang-e-mil jo ab darmiyan paDta hai
na kam samajh safar-e-'umr-e-yak-nafas ko 'jamal'
is ek rah mein sara jahan paDta hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 41)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.