kabhi-kabhaar nahin ta-hayat dete hain
kabhī-kabhār nahīñ tā-hayāt dete haiñ
daraḳht apne phaloñ kī zakāt dete haiñ
buḳhārā aur samarqand kuchh nahīñ ham to
us ek til ke evaz kā.enāt dete haiñ
koī zabānī kalāmī nahīñ diyā tujh ko
ham apne dil ke tumheñ kāġhzāt dete haiñ
vo chāñd jhiil kī āġhosh meñ utartā huā
sitāre pahra vahāñ saarī raat dete haiñ
nikal bhī sakte the us ek-ādh mushkil se
vo ham ko saath ka.ī mushkilāt dete haiñ
ye zahr zahr kā tiryāk hai hamāre liye
hameñ to ashk bhī āb-e-hayāt dete haiñ
farishtagān-e-qazā dā.ī-e-ajal kī qasam
ġham-e-hayāt se ham ko najāt dete haiñ
sab ek saath haiñ hirs-o-havas ke nukte par
dikhā.e kis ko vo chaudah nikāt dete haiñ
hamesha koī jahāñ meñ nahīñ rahā phir bhī
duā sabāt kī ham be-sabāt dete haiñ
kabhi-kabhaar nahin ta-hayat dete hain
daraKHt apne phalon ki zakat dete hain
buKHara aur samarqand kuchh nahin hum to
us ek til ke ewaz kaenat dete hain
koi zabani kalami nahin diya tujh ko
hum apne dil ke tumhein kaghzat dete hain
wo chand jhil ki aaghosh mein utarta hua
sitare pahra wahan sari raat dete hain
nikal bhi sakte the us ek-adh mushkil se
wo hum ko sath kai mushkilat dete hain
ye zahr zahr ka tiryak hai hamare liye
hamein to ashk bhi aab-e-hayat dete hain
farishtagan-e-qaza dai-e-ajal ki qasam
gham-e-hayat se hum ko najat dete hain
sab ek sath hain hirs-o-hawas ke nukte par
dikhae kis ko wo chaudah nikat dete hain
hamesha koi jahan mein nahin raha phir bhi
dua sabaat ki hum be-sabaat dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.