kabhi kabhi mere ghar se bhi jab KHushi guzri
kabhī kabhī mere ghar se bhī jab ḳhushī guzrī
mujhe lagā ki añdheroñ se raushnī guzrī
har ik hañsī ke pas-e-parda bhiiḌ thī ġham kī
magar laboñ se bazāhir mire ḳhushī guzrī
guzishta roz se vo aa.ina rahā hai mirā
mirī hayāt usī se milī-julī guzrī
bichhaḌ ke mujh se agar vo na rah sakā hogā
baġhair us ke mujhe bhī ḳhalish yahī guzrī
'ajab 'ajab se dikhā.e hayāt ne kartab
kabhī ubhartī kabhī naav Dūbtī guzrī
dilā ke yaad mujhe phir se kar ga.ī ġhamgīñ
ġhamoñ kī jab bhī 'ibārat koī likhī guzrī
har ek lamha mirā guzrā is tarah 'shamshād'
ki jaise gardish-e-hālāt kī sadī guzrī
kabhi kabhi mere ghar se bhi jab KHushi guzri
mujhe laga ki andheron se raushni guzri
har ek hansi ke pas-e-parda bhiD thi gham ki
magar labon se bazahir mere KHushi guzri
guzishta roz se wo aaina raha hai mera
meri hayat usi se mili-juli guzri
bichhaD ke mujh se agar wo na rah saka hoga
baghair us ke mujhe bhi KHalish yahi guzri
'ajab 'ajab se dikhae hayat ne kartab
kabhi ubharti kabhi naw Dubti guzri
dila ke yaad mujhe phir se kar gai ghamgin
ghamon ki jab bhi 'ibarat koi likhi guzri
har ek lamha mera guzra is tarah 'shamshad'
ki jaise gardish-e-haalat ki sadi guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.