kabhi kabhi mujhe itna bhi tu nibhaya kar
kabhī kabhī mujhe itnā bhī tū nibhāyā kar
ki apne aap ko kuchh der bhuul jaayā kar
na chhat pe chāñd Tikegā na raat Thahregī
har ek ḳhvāb ko āñkhoñ meñ mat sajāyā kar
maiñ chāhtī huuñ ki har ruup meñ tujhe dekhūñ
kabhī kabhī mirī bātoñ se tañg aayā kar
tirī pasand kī ġhazleñ maiñ likh to duuñ lekin
ye shart hai ki unheñ hī tū gungunāyā kar
maiñ kashtiyoñ kī kahānī tujhe sunā.ūñgī
tū sāhiloñ kī kahānī mujhe sunāyā kar
maiñ apne aap se milne ko bhī taras jā.ūñ
mire vajūd meñ itnā bhī mat samāyā kar
kabhi kabhi mujhe itna bhi tu nibhaya kar
ki apne aap ko kuchh der bhul jaya kar
na chhat pe chand Tikega na raat Thahregi
har ek KHwab ko aankhon mein mat sajaya kar
main chahti hun ki har rup mein tujhe dekhun
kabhi kabhi meri baaton se tang aaya kar
teri pasand ki ghazlen main likh to dun lekin
ye shart hai ki unhen hi tu gungunaya kar
main kashtiyon ki kahani tujhe sunaungi
tu sahilon ki kahani mujhe sunaya kar
main apne aap se milne ko bhi taras jaun
mere wajud mein itna bhi mat samaya kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.