kabhi kabhi teri aawaz par rukun bhi nahin
kabhī kabhī tirī āvāz par rukūñ bhī nahīñ
ki tū bulā.e mujhe aur maiñ sunūñ bhī nahīñ
is intizār meñ zid kā bhī ek pahlū hai
kivāḌ khol duuñ aur rāsta takūñ bhī nahīñ
tamām shahr sune mujh ko tere hoñToñ se
tire sivā maiñ kisī aur pe khilūñ bhī nahīñ
vo duur ho to lage us se koī rishta hai
qarīb aa.e to maiñ us kā kuchh lagūñ bhī nahīñ
likhegā kaun adhūrī talāsh kā nauha
tirī talab kā mire sar meñ ab junūñ bhī nahīñ
na jaane TuuT ke gir jaa.e kab saroñ pe 'shakīl'
ki āsmāñ kī imārat meñ ik sutūñ bhī nahīñ
kabhi kabhi teri aawaz par rukun bhi nahin
ki tu bulae mujhe aur main sunun bhi nahin
is intizar mein zid ka bhi ek pahlu hai
kiwaD khol dun aur rasta takun bhi nahin
tamam shahr sune mujh ko tere honTon se
tere siwa main kisi aur pe khilun bhi nahin
wo dur ho to lage us se koi rishta hai
qarib aae to main us ka kuchh lagun bhi nahin
likhega kaun adhuri talash ka nauha
teri talab ka mere sar mein ab junun bhi nahin
na jaane TuT ke gir jae kab saron pe 'shakil'
ki aasman ki imarat mein ek sutun bhi nahin
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 46)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.