kabhi kabhi to baghawat pe bhi utarti hai
kabhī kabhī to baġhāvat pe bhī utartī hai
ye tishnagī bhī 'ajab hai savāl kartī hai
jahāñ-jahāñ se vo sho'la-badan guzartā hai
chahār samt na.ī raushnī bikhartī hai
maiñ gir paḌūñ to mujhe chhoḌ kar chale jaanā
kahāñ kisī ke liye zindagī Thahartī hai
sunā hai shahr se vo to chalā gayā lekin
sadā kisī kī use be-qarār kartī hai
ġhalat hai fikr ye tārīḳh se sabaq lenā
kahāñ zavāl se insāniyat sañvartī hai
sunā hai qais ne maz.hab badal liyā apnā
kisī ke vāste lailā bahut sañvartī hai
mirī ḳhushī ke liye dopahar meñ bhī 'bismil'
rivāyatoñ se alag chāñdnī utartī hai
kabhi kabhi to baghawat pe bhi utarti hai
ye tishnagi bhi 'ajab hai sawal karti hai
jahan-jahan se wo sho'la-badan guzarta hai
chahaar samt nai raushni bikharti hai
main gir paDun to mujhe chhoD kar chale jaana
kahan kisi ke liye zindagi Thaharti hai
suna hai shahr se wo to chala gaya lekin
sada kisi ki use be-qarar karti hai
ghalat hai fikr ye tariKH se sabaq lena
kahan zawal se insaniyat sanwarti hai
suna hai qais ne mazhab badal liya apna
kisi ke waste laila bahut sanwarti hai
meri KHushi ke liye dopahar mein bhi 'bismil'
riwayaton se alag chandni utarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.