kabhi kabhi unhen karna karam bhi aate hain
kabhī kabhī unheñ karnā karam bhī aate haiñ
sitam ke vaqt sahī yaad ham bhī aate haiñ
hai raaz kyā ye ḳhudā jaane par haqīqat hai
ki mai-kade meñ ka.ī mohtaram bhī aate haiñ
vafā kī raah meñ rakh lo qadam ye dhyān rahe
ki is kī rah meñ ka.ī pech-o-ḳham bhī aate haiñ
mohabbatoñ meñ diloñ ko ḳhushī to miltī hai
magar kahīñ se dabe paañv ġham bhī aate haiñ
ye sach qubūl ḳhudā kī qasam mujhe 'tārif'
tumhāre paas huuñ aise bharam bhī aate haiñ
kabhi kabhi unhen karna karam bhi aate hain
sitam ke waqt sahi yaad hum bhi aate hain
hai raaz kya ye KHuda jaane par haqiqat hai
ki mai-kade mein kai mohtaram bhi aate hain
wafa ki rah mein rakh lo qadam ye dhyan rahe
ki is ki rah mein kai pech-o-KHam bhi aate hain
mohabbaton mein dilon ko KHushi to milti hai
magar kahin se dabe panw gham bhi aate hain
ye sach qubul KHuda ki qasam mujhe 'tarif'
tumhaare pas hun aise bharam bhi aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.