kabhi kapDe badalta hai kabhi lahja badalta hai
kabhī kapḌe badaltā hai kabhī lahja badaltā hai
magar in koshishoñ se kyā kahīñ shajra badaltā hai
parinda sochtā ye hai rihā.ī mil ga.ī mujh ko
safā.ī kī ġharaz se jab kabhī piñjrā badaltā hai
tumhāre baa'd ab jis kā bhī jī chāhe mujhe rakh le
janāza apnī marzī se kahāñ kāñdhā badaltā hai
bahut ziddī musavvir hai na.ī pahchān kī ḳhātir
mirī tasvīr kā har roz vo chehra badaltā hai
mirī āñkhoñ kī pahlī āḳhirī had hai tirā chehra
maiñ vo pāgal nahīñ huuñ roz jo rasta badaltā hai
kabhi kapDe badalta hai kabhi lahja badalta hai
magar in koshishon se kya kahin shajra badalta hai
parinda sochta ye hai rihai mil gai mujh ko
safai ki gharaz se jab kabhi pinjra badalta hai
tumhaare ba'd ab jis ka bhi ji chahe mujhe rakh le
janaza apni marzi se kahan kandha badalta hai
bahut ziddi musawwir hai nai pahchan ki KHatir
meri taswir ka har roz wo chehra badalta hai
meri aankhon ki pahli aaKHiri had hai tera chehra
main wo pagal nahin hun roz jo rasta badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.