kabhi KHamosh rah kar bhi pukara kafi hota hai
kabhī ḳhāmosh rah kar bhī pukārā kaafī hotā hai
samajhne vāloñ ko to bas ishāra kaafī hotā hai
izāfa is meñ kar letā huuñ maiñ apnī taraf se bhī
yahāñ bas dekh lenā hī tumhārā kaafī hotā hai
kabhī to fā.eda bhī dene lag jā.egā vo mujh ko
ki pahle pahle vaise bhī ḳhasāra kaafī hotā hai
ye aisī maar hai jis kā nishāñ tak bhī nahīñ paḌtā
par is meñ aadmī andar se maarā kaafī hotā hai
vo pahle kī tarah vāre-niyāre to nahīñ lekin
maiñ koshish kartā rahtā huuñ guzāra kaafī hotā hai
to zāhir hai ki ye sab chhoḌ kar kuchh aur kar leñ ham
agar nuqsān is meñ bhī hamārā kaafī hotā hai
safar āsānī se kaT jaatā hai bātoñ hī bātoñ meñ
kisī kā saath ho to phir sahārā kaafī hotā hai
tumhāre va.ade hote haiñ siyāsat-dānoñ vaale 'gul'
haqīqat jin meñ thoḌī aur laarā kaafī hotā hai
kabhi KHamosh rah kar bhi pukara kafi hota hai
samajhne walon ko to bas ishaara kafi hota hai
izafa is mein kar leta hun main apni taraf se bhi
yahan bas dekh lena hi tumhaara kafi hota hai
kabhi to faeda bhi dene lag jaega wo mujh ko
ki pahle pahle waise bhi KHasara kafi hota hai
ye aisi mar hai jis ka nishan tak bhi nahin paDta
par is mein aadmi andar se mara kafi hota hai
wo pahle ki tarah ware-niyare to nahin lekin
main koshish karta rahta hun guzara kafi hota hai
to zahir hai ki ye sab chhoD kar kuchh aur kar len hum
agar nuqsan is mein bhi hamara kafi hota hai
safar aasani se kaT jata hai baaton hi baaton mein
kisi ka sath ho to phir sahaara kafi hota hai
tumhaare wade hote hain siyasat-danon wale 'gul'
haqiqat jin mein thoDi aur lara kafi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.