kabhi KHirad ka kabhi ishq ka bahana tha
kabhī ḳhirad kā kabhī ishq kā bahānā thā
mirī hayāt kā maqsad fareb khānā thā
tirī nigāh ko gahrā.iyoñ meñ jaanā thā
mire sukūt kī har tah meñ ik fasānā thā
chaman ke ek hī goshe meñ hai hujūm-e-bahār
ye vo jagah hai jahāñ merā āshiyāna thā
ḳhizāñ kā ḳhauf thā ġhunchoñ ko fasl-e-gul meñ magar
vo muskurā ke rahe jin ko muskurānā thā
jahāñ huā thā unheñ pā-shikastagī kā gumāñ
musāfiroñ ko vahīñ se qadam baḌhānā thā
shab-e-firāq ke maare hue na dekh sake
tulū-e-sub.h kā manzar bahut suhānā thā
vo be-ḳhabar haiñ mohabbat se jo ye kahte haiñ
kisī kī yaad meñ duniyā ko bhuul jaanā thā
jahāñ-jahāñ maiñ rukā vaqt ke qadam bhī ruke
mirā vajūd ḳhud apnī jagah zamāna thā
huzūr-e-husn majāl-e-nazar na thī 'shāhid'
hameñ ḳhud apne muqaddar ko āzmānā thā
kabhi KHirad ka kabhi ishq ka bahana tha
meri hayat ka maqsad fareb khana tha
teri nigah ko gahraiyon mein jaana tha
mere sukut ki har tah mein ek fasana tha
chaman ke ek hi goshe mein hai hujum-e-bahaar
ye wo jagah hai jahan mera aashiyana tha
KHizan ka KHauf tha ghunchon ko fasl-e-gul mein magar
wo muskura ke rahe jin ko muskurana tha
jahan hua tha unhen pa-shikastagi ka guman
musafiron ko wahin se qadam baDhana tha
shab-e-firaq ke mare hue na dekh sake
tulu-e-subh ka manzar bahut suhana tha
wo be-KHabar hain mohabbat se jo ye kahte hain
kisi ki yaad mein duniya ko bhul jaana tha
jahan-jahan main ruka waqt ke qadam bhi ruke
mera wajud KHud apni jagah zamana tha
huzur-e-husn majal-e-nazar na thi 'shahid'
hamein KHud apne muqaddar ko aazmana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.