kabhi khula hi nahin kitnon par ki kya hai safar
kabhī khulā hī nahīñ kitnoñ par ki kyā hai safar
qadam-qadam pe tire jaise aa.ina hai safar
chalo batātā huuñ al-muḳhtasar ki kyā hai safar
jahāñ se aa.e ho us samt lauTnā hai safar
kahīñ pe jangeñ laḌīñ to kahīñ paḌāo kiyā
ham aise ḳhāna-ba-doshoñ kā aasrā hai safar
thakan safar kī mirā hausla baḌhātī hai
na hoñ sa'ūbateñ rah meñ to be-mazā hai safar
kahīñ to hogī hī manzil maiñ DhūñD lūñgā use
huzūr merā pasandīda mashġhala hai safar
kisī kisī pe safar tā-hayāt be-mā'nī
kisī kisī ke liye zindagī-numā hai safar
'ajīb dukh hai ham ujḌe hue qabīloñ kā
hamāre vāste sangīn mas.ala hai safar
kabhi khula hi nahin kitnon par ki kya hai safar
qadam-qadam pe tere jaise aaina hai safar
chalo batata hun al-muKHtasar ki kya hai safar
jahan se aae ho us samt lauTna hai safar
kahin pe jangen laDin to kahin paDao kiya
hum aise KHana-ba-doshon ka aasra hai safar
thakan safar ki mera hausla baDhati hai
na hon sa'ubaten rah mein to be-maza hai safar
kahin to hogi hi manzil main DhunD lunga use
huzur mera pasandida mashghala hai safar
kisi kisi pe safar ta-hayat be-ma'ni
kisi kisi ke liye zindagi-numa hai safar
'ajib dukh hai hum ujDe hue qabilon ka
hamare waste sangin masala hai safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.