kabhi KHwahish jo is dil ki purani chiKH paDti hai
kabhī ḳhvāhish jo is dil kī purānī chīḳh paḌtī hai
to phir āñkhoñ meñ ik Dorī gulābī chīḳh paḌtī hai
lagā kar zaḳhm par pahre sulā ke dil ke saare ġham
maiñ jab bhī hañsnā chāhūñ to udāsī chīḳh paḌtī hai
mirī alhaḌ javāñ zulfoñ ko abyaz dekh kar logoñ
buzurgī muskurātī hai javānī chīḳh paḌtī hai
raqam jab bhī maiñ apnā dard kartī huuñ qalam se to
varaq mātam manāte haiñ siyāhī chīḳh paḌtī hai
taḳhallus achchhī laḌkī kā mujhe jab 'zoyā' miltā hai
mire andar dabī phir har ḳharābī chīḳh paḌtī hai
kabhi KHwahish jo is dil ki purani chiKH paDti hai
to phir aankhon mein ek Dori gulabi chiKH paDti hai
laga kar zaKHm par pahre sula ke dil ke sare gham
main jab bhi hansna chahun to udasi chiKH paDti hai
meri alhaD jawan zulfon ko abyaz dekh kar logon
buzurgi muskuraati hai jawani chiKH paDti hai
raqam jab bhi main apna dard karti hun qalam se to
waraq matam manate hain siyahi chiKH paDti hai
taKHallus achchhi laDki ka mujhe jab 'zoya' milta hai
mere andar dabi phir har KHarabi chiKH paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.