kabhi kuza kabhi kasa kabhi saghar banate hain
kabhī kuuza kabhī kaasa kabhī sāġhar banāte haiñ
ye kaisī pyaas kī taskīn kūza-gar banāte haiñ
banāte haiñ safīne jo samundar paar karne ko
vahī patvār ke hamrāh kyoñ langar banāte haiñ
chalo maanā ke mehnat se makāñ tum hī banāte ho
mohabbat se magar apnī hamīñ to ghar banāte haiñ
jo pahle hathkaḌī aur beḌiyāñ thiiñ bint-e-havvā kī
ab un kī shakl ke ahl-e-jahāñ zevar banāte haiñ
phir us kā vaqt-e-ruḳhsat lauT kar aanā palaT jaanā
ham apnī aañkh meñ har raat vo manzar banāte haiñ
tabī.at ḳhud-baḳhud maa.il kiyā kartī hai jazboñ ko
kabhī kyā soch kar ham dost yā dilbar banāte haiñ
vo bhūlā phir kisī bhī shaam ghar vāpas nahīñ lauTā
'hinā' maañ baap jis kā aaj bhī bistar banāte haiñ
kabhi kuza kabhi kasa kabhi saghar banate hain
ye kaisi pyas ki taskin kuza-gar banate hain
banate hain safine jo samundar par karne ko
wahi patwar ke hamrah kyon langar banate hain
chalo mana ke mehnat se makan tum hi banate ho
mohabbat se magar apni hamin to ghar banate hain
jo pahle hathkaDi aur beDiyan thin bint-e-hawwa ki
ab un ki shakl ke ahl-e-jahan zewar banate hain
phir us ka waqt-e-ruKHsat lauT kar aana palaT jaana
hum apni aankh mein har raat wo manzar banate hain
tabiat KHud-baKHud mail kiya karti hai jazbon ko
kabhi kya soch kar hum dost ya dilbar banate hain
wo bhula phir kisi bhi sham ghar wapas nahin lauTa
'hina' man bap jis ka aaj bhi bistar banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.