kabhi mazi kabhi farda se Daraya hai mujhe
kabhī maazī kabhī fardā se Darāyā hai mujhe
kaisā farzānoñ ne dīvāna banāyā hai mujhe
zindagī terī 'ināyāt kā hāsil ye hai
ek qātil hai ki apnā nazar aayā hai mujhe
jaane kyā baat hai tārīḳh ne bādīda-e-tar
merā afsāna ka.ī baar sunāyā hai mujhe
mujh se zulmat-kada-e-ġham kī ‘ināyat pūchho
kitne sāyoñ ke ta’āqub se bachāyā hai mujhe
ab na vo jaam na vo pyaas na vo soz-e-talab
sard jab ho ga.ī mahfil to jagāyā hai mujhe
maiñ na qātil huuñ na maqtūl na munsif yārab
kis liye ‘arsa-e-mehshar meñ bulāyā hai mujhe
mere chehre pe na thiiñ itnī ḳharāsheñ yaaro
tum ne TuuTā huā ā.īna dikhāyā hai mujhe
kal thā masjūd-e-nazar aaj tamāsha huuñ 'shamīm'
kis qayāmat kī bulandī se girāyā hai mujhe
kabhi mazi kabhi farda se Daraya hai mujhe
kaisa farzanon ne diwana banaya hai mujhe
zindagi teri 'inayat ka hasil ye hai
ek qatil hai ki apna nazar aaya hai mujhe
jaane kya baat hai tariKH ne baadida-e-tar
mera afsana kai bar sunaya hai mujhe
mujh se zulmat-kada-e-gham ki ‘inayat puchho
kitne sayon ke ta’aqub se bachaya hai mujhe
ab na wo jam na wo pyas na wo soz-e-talab
sard jab ho gai mahfil to jagaya hai mujhe
main na qatil hun na maqtul na munsif yarab
kis liye ‘arsa-e-mehshar mein bulaya hai mujhe
mere chehre pe na thin itni KHarashen yaro
tum ne TuTa hua aaina dikhaya hai mujhe
kal tha masjud-e-nazar aaj tamasha hun 'shamim'
kis qayamat ki bulandi se giraya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.