kabhi maine unhen puchha nahin hai
kabhī maiñ ne unheñ pūchhā nahīñ hai
unheñ bhī hai mohabbat yā nahīñ hai
ijāzat ho to maiñ ye arz kar duuñ
salīqa aap kā achchhā nahīñ hai
vahī chhāyā huā hai zindagī par
vo jis ko aaj tak dekhā nahīñ hai
sitam ālām mahrūmī tabāhī
mirī taqdīr meñ kyā kyā nahīñ hai
abhī kuchh aur bhī jaur-o-sitam hoñ
abhī sadmoñ se dil TuuTā nahīñ hai
na jaane kis ghaḌī chhin jaa.e mujh se
ye zālim jism bhī merā nahīñ hai
mirī taqdīr hī meñ Thokareñ thiiñ
mujhe duniyā se kuchh shikva nahīñ hai
ajab insān hai duniyā meñ vo bhī
sadā-e-vaqt jo suntā nahīñ hai
kahāñ rahte ho 'āsī' āj-kal tum
ka.ī din se tujhe dekhā nahīñ hai
kabhi main ne unhen puchha nahin hai
unhen bhi hai mohabbat ya nahin hai
ijazat ho to main ye arz kar dun
saliqa aap ka achchha nahin hai
wahi chhaya hua hai zindagi par
wo jis ko aaj tak dekha nahin hai
sitam aalam mahrumi tabahi
meri taqdir mein kya kya nahin hai
abhi kuchh aur bhi jaur-o-sitam hon
abhi sadmon se dil TuTa nahin hai
na jaane kis ghaDi chhin jae mujh se
ye zalim jism bhi mera nahin hai
meri taqdir hi mein Thokaren thin
mujhe duniya se kuchh shikwa nahin hai
ajab insan hai duniya mein wo bhi
sada-e-waqt jo sunta nahin hai
kahan rahte ho 'asi' aaj-kal tum
kai din se tujhe dekha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.