kabhi majbur ho jaana kabhi lachaar ho jaana
kabhī majbūr ho jaanā kabhī lāchār ho jaanā
hameñ lāzim hai goyā tālib-e-dīdār ho jaanā
na jaane bil-mushāfa guftugū par hashr kyā hogā
qayāmat ho gayā jab us se āñkheñ chaar ho jaanā
sukūñ jaatā rahā dil kī tamanna meñ taḌap uThīñ
balā-e-nā-gahānī thā kisī se pyaar ho jaanā
zarā rashk-e-masīhā ho ke mere sāmne aao
ilāj-e-dard-e-dil hai aap kā dīdār ho jaanā
bahāroñ kā karūñ kyoñ intizār ab kyā zarūrat hai
jigar ke daaġh kā mushkil nahīñ gulzār ho jaanā
hameñ le aaya jazb-e-shauq us merāj-e-ulfat par
mayassar aa gayā hai naqsh-bar-dīvār ho jaanā
zahe-qismat huzūr-e-husn izn-e-bāryābī ho
bahut achchhā hai 'jauhar' ā.ina-bardār ho jaanā
kabhi majbur ho jaana kabhi lachaar ho jaana
hamein lazim hai goya talib-e-didar ho jaana
na jaane bil-mushafa guftugu par hashr kya hoga
qayamat ho gaya jab us se aankhen chaar ho jaana
sukun jata raha dil ki tamanna mein taDap uThin
bala-e-na-gahani tha kisi se pyar ho jaana
zara rashk-e-masiha ho ke mere samne aao
ilaj-e-dard-e-dil hai aap ka didar ho jaana
bahaaron ka karun kyon intizar ab kya zarurat hai
jigar ke dagh ka mushkil nahin gulzar ho jaana
hamein le aaya jazb-e-shauq us meraj-e-ulfat par
mayassar aa gaya hai naqsh-bar-diwar ho jaana
zahe-qismat huzur-e-husn izn-e-baryabi ho
bahut achchha hai 'jauhar' aaina-bardar ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.