kabhi manzar badalta hai kabhi chehra badalta hai
kabhī manzar badaltā hai kabhī chehra badaltā hai
idhar rangat badaltī hai udhar lahja badaltā hai
hameñ vo maat dene ko hamārā ruup bhar bhar kar
na.ī ik chaal chaltā hai nayā mohra badaltā hai
tumhāre maal par qādir hamāre haal par qādir
na.e pahre na.ī vardī nayā sayyād hai hāzir
magar vo bad-havāsī meñ havā ke ruḳh se ghabrā kar
kabhī qaidī badaltā hai kabhī piñjra badaltā hai
kabhī shamshīr detā hai kabhī phūloñ ke gul-daste
vahīñ bolī lagātā hai jahāñ insān hoñ saste
lagā ke aag ghar ghar meñ badal letā hai vo rishte
idhar nazreñ badaltī haiñ udhar aaqā badaltā hai
vahī dār-o-rasan kā Dar vahī jallād hāzir hai
zabāneñ boltīñ kaise qalam likhne se qāsir hai
nishāñ saare vahī Thahre jab ibn-ul-vaqt ghabrā kar
kabhī manzil badaltā hai kabhī rasta badaltā hai
kabhi manzar badalta hai kabhi chehra badalta hai
idhar rangat badalti hai udhar lahja badalta hai
hamein wo mat dene ko hamara rup bhar bhar kar
nai ek chaal chalta hai naya mohra badalta hai
tumhaare mal par qadir hamare haal par qadir
nae pahre nai wardi naya sayyaad hai hazir
magar wo bad-hawasi mein hawa ke ruKH se ghabra kar
kabhi qaidi badalta hai kabhi pinjra badalta hai
kabhi shamshir deta hai kabhi phulon ke gul-daste
wahin boli lagata hai jahan insan hon saste
laga ke aag ghar ghar mein badal leta hai wo rishte
idhar nazren badalti hain udhar aaqa badalta hai
wahi dar-o-rasan ka Dar wahi jallad hazir hai
zabanen boltin kaise qalam likhne se qasir hai
nishan sare wahi Thahre jab ibn-ul-waqt ghabra kar
kabhi manzil badalta hai kabhi rasta badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.