kabhi manzil kabhi rasta samajh kar
kabhī manzil kabhī rasta samajh kar
vo Thahrā hai mujhe tanhā samajh kar
kiyā sairāb ik sahrā ko us ne
jise chhoḌ aa.e the qatra samajh kar
na jaane shakl kis kī DhūñDhtā huuñ
har ik chehre ko ā.īna samajh kar
sadā.eñ de rahā hai phir se mausam
mire ehsās ko zinda samajh kar
uḌānā chāhte ho tum shajar ko
faqat TuuTā huā pattā samajh kar
use ab bhuul jaanā chāhtā huuñ
añdherī raat kā qissa samajh kar
'nisār' us se mohabbat kī thī ham ne
faqat ḳhvāboñ kā ḳhamyāza samajh kar
kabhi manzil kabhi rasta samajh kar
wo Thahra hai mujhe tanha samajh kar
kiya sairab ek sahra ko us ne
jise chhoD aae the qatra samajh kar
na jaane shakl kis ki DhunDhta hun
har ek chehre ko aaina samajh kar
sadaen de raha hai phir se mausam
mere ehsas ko zinda samajh kar
uDana chahte ho tum shajar ko
faqat TuTa hua patta samajh kar
use ab bhul jaana chahta hun
andheri raat ka qissa samajh kar
'nisar' us se mohabbat ki thi hum ne
faqat KHwabon ka KHamyaza samajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.