Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi marhalat-e-hayat mein koi ham-nawa hi nahin mila

Basit Ujjaini

kabhi marhalat-e-hayat mein koi ham-nawa hi nahin mila

Basit Ujjaini

MORE BYBasit Ujjaini

    kabhī marhalāt-e-hayāt meñ koī ham-navā nahīñ milā

    ab is ittifāq ko kyā kahūñ mujhe aasrā nahīñ milā

    jo tire qadam javāb ho jo tire jamāl aks ho

    mujhe aisā manzil-e-shauq meñ koī naqsh-e-pā nahīñ milā

    ka.ī rāz-dār-e-butāñ bhī the ka.ī rāzdār-e-haram bhī the

    mire ishtiyāq-e-nigāh ko sanam-āshnā nahīñ milā

    koī muttaqī koī pārsā koī rind koī junūñ-adā

    ye sabhī mile haiñ mujhe magar koī be-ḳhatā nahīñ milā

    rah-e-marhalāt-e-ḳhulūs meñ mire dil se terī nigāh tak

    mujhe jazb-e-shauq ke mā-sivā koī rahnumā nahīñ milā

    ye baḌī ajiib baat hai ki ta.alluqāt-e-hayāt meñ

    mujhe ḳhud-numā to mile magar koī rahnumā nahīñ milā

    vo junūñ-maqām-o-junūñ-adā vo tumhārā 'bāsit'-e-bā-vafā

    magar us ham-sar-o-ham-navā koī dūsrā nahīñ milā

    kabhi marhalat-e-hayat mein koi ham-nawa hi nahin mila

    ab is ittifaq ko kya kahun mujhe aasra nahin mila

    jo tere qadam ka jawab ho jo tere jamal ka aks ho

    mujhe aisa manzil-e-shauq mein koi naqsh-e-pa hi nahin mila

    kai raaz-dar-e-butan bhi the kai raazdar-e-haram bhi the

    mere ishtiyaq-e-nigah ko sanam-ashna hi nahin mila

    koi muttaqi koi parsa koi rind koi junun-ada

    ye sabhi mile hain mujhe magar koi be-KHata hi nahin mila

    rah-e-marhalat-e-KHulus mein mere dil se teri nigah tak

    mujhe jazb-e-shauq ke ma-siwa koi rahnuma hi nahin mila

    ye baDi ajib si baat hai ki talluqat-e-hayat mein

    mujhe KHud-numa to mile magar koi rahnuma hi nahin mila

    wo junun-maqam-o-junun-ada wo tumhaara 'basit'-e-ba-wafa

    magar us ka ham-sar-o-ham-nawa koi dusra nahin mila

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now