kabhi mehr-o-mah kabhi kahkashan kabhi aasman se guzar gaya
kabhi mehr-o-mah kabhi kahkashan kabhi aasman se guzar gaya
Abdul Majeed Manzar Murtajapuri
MORE BYAbdul Majeed Manzar Murtajapuri
kabhī mehr-o-mah kabhī kahkashāñ kabhī āsmāñ se guzar gayā
mirī rif.atoñ pe vo sar-nigūñ maiñ to lā-makāñ se guzar gayā
ka.ī manziloñ ke nishāñ mile maiñ har ik nishāñ se guzar gayā
mire pīchhe pīchhe kārvāñ maiñ jahāñ jahāñ se guzar gayā
milā but-kada to kabhī haram kahīñ ruk sake na mire qadam
tirī justujū meñ tirī qasam maiñ kahāñ kahāñ se guzar gayā
na kalī meñ thī kahīñ kuchh kashish the fasurda phuul ravish ravish
maiñ nigāh sarsarī Daal kar tire gulsitāñ se guzar gayā
na hī chāra-gar koī mill sakā na ilāj-e-ġham mirā ho sakā
mujhe mil sakī na davā-e-dil maiñ har ik dukāñ se guzar gayā
yahāñ apne the vahāñ ġhair the ajab ek manzar-e-yās thā
maiñ kabhī yahāñ se guzar gayā maiñ kabhī vahāñ se guzar gayā
kabhi mehr-o-mah kabhi kahkashan kabhi aasman se guzar gaya
meri rifaton pe wo sar-nigun main to la-makan se guzar gaya
kai manzilon ke nishan mile main har ek nishan se guzar gaya
mere pichhe pichhe karwan main jahan jahan se guzar gaya
mila but-kada to kabhi haram kahin ruk sake na mere qadam
teri justuju mein teri qasam main kahan kahan se guzar gaya
na kali mein thi kahin kuchh kashish the fasurda phul rawish rawish
main nigah sarsari Dal kar tere gulsitan se guzar gaya
na hi chaara-gar koi mill saka na ilaj-e-gham mera ho saka
mujhe mil saki na dawa-e-dil main har ek dukan se guzar gaya
yahan apne the wahan ghair the ajab ek manzar-e-yas tha
main kabhi yahan se guzar gaya main kabhi wahan se guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.