kabhi mera kabhi tera raha hai
kabhi mera kabhi tera raha hai
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
MORE BYNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
kabhī merā kabhī terā rahā hai
zamāna ek sā kis kā rahā hai
zabān-o-dil hue haiñ jab se paidā
zabān par dil kā afsāna rahā hai
use kyoñ kar samajh leñ dil kī harakat
taḌapte haiñ koī taḌpā rahā hai
rahe itnā ḳhayāl ai chashm-e-sāqī
vahī piitā hai jo piitā rahā hai
ḳhudā jaane bahār aa.e to kyā ho
abhī se dil mirā ghabrā rahā hai
zamāne meñ hamīñ ik nā-samajh haiñ
jise dekho hameñ samjhā rahā hai
laboñ tak aa chukā hai dam hamārā
abhī tak vo masīhā aa rahā hai
ham apne aap hī ko dekhte haiñ
rahā hogā ḳhudā jis kā rahā hai
mirā ghar dekh kar kahne lage vo
yahāñ to koī dīvāna rahā hai
mai-e-nau se ho vo kyā lutf-andoz
sharāb-e-kohna jo piitā rahā hai
kabhi mera kabhi tera raha hai
zamana ek sa kis ka raha hai
zaban-o-dil hue hain jab se paida
zaban par dil ka afsana raha hai
use kyon kar samajh len dil ki harakat
taDapte hain koi taDpa raha hai
rahe itna KHayal ai chashm-e-saqi
wahi pita hai jo pita raha hai
KHuda jaane bahaar aae to kya ho
abhi se dil mera ghabra raha hai
zamane mein hamin ek na-samajh hain
jise dekho hamein samjha raha hai
labon tak aa chuka hai dam hamara
abhi tak wo masiha aa raha hai
hum apne aap hi ko dekhte hain
raha hoga KHuda jis ka raha hai
mera ghar dekh kar kahne lage wo
yahan to koi diwana raha hai
mai-e-nau se ho wo kya lutf-andoz
sharab-e-kohna jo pita raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.