kabhi mere liye do pal nikalo
kabhī mere liye do pal nikālo
mire is mas.ale kā hal nikālo
haiñ sahrā-zād dīvāne tumhāre
mirī jaañ zulf ke bādal nikālo
mujhe Dar lag rahā hai tīrgī se
tum apnī aañkh kā kājal nikālo
vo bāheñ ab kisī kī ho chukī haiñ
amaañ tum bag se kambal nikālo
jahāñ milte the us se aap 'hamza'
vahāñ se qāfila paidal nikālo
kabhi mere liye do pal nikalo
mere is masale ka hal nikalo
hain sahra-zad diwane tumhaare
meri jaan zulf ke baadal nikalo
mujhe Dar lag raha hai tirgi se
tum apni aankh ka kajal nikalo
wo bahen ab kisi ki ho chuki hain
aman tum bag se kambal nikalo
jahan milte the us se aap 'hamza'
wahan se qafila paidal nikalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.