kabhi meri har KHushi ko mere mehrban ne luTa
kabhi meri har KHushi ko mere mehrban ne luTa
Begum Sultana Zakir Ada
MORE BYBegum Sultana Zakir Ada
kabhī merī har ḳhushī ko mire mehrbāñ ne luuTā
kabhī merī anjuman ko mire pāsbāñ ne luuTā
kabhī bijliyāñ taḌap ke girīñ mere āshiyāñ par
jo bache the chaar tinke unheñ rāz-dāñ ne luuTā
the bachā bachā ke rakhe kuchh gul rah-e-chaman se
mujhe Daal kar qafas meñ unheñ bāġhbāñ ne luuTā
jo bahār ban ke aa.e vo ġhubār ban ke bhaTke
kabhī to sabā ne chheḌā kabhī hai ḳhizāñ ne luuTā
mirī pā-e-justujū ko mirī ḳhū-e-ārzū ko
mire rāste meñ aa kar na.e imtihāñ ne luuTā
na milā sukūn āḳhir jo jahān-e-rang-o-bū meñ
na mujhe kisī ne jaanā mujhe hai jahāñ ne luuTā
nahīñ hai gila kisī se na 'adā' koī shikāyat
mujhe zabt-e-ġham ne rokā ġham-e-nā-gahāñ ne luuTā
kabhi meri har KHushi ko mere mehrban ne luTa
kabhi meri anjuman ko mere pasban ne luTa
kabhi bijliyan taDap ke girin mere aashiyan par
jo bache the chaar tinke unhen raaz-dan ne luTa
the bacha bacha ke rakhe kuchh gul rah-e-chaman se
mujhe Dal kar qafas mein unhen baghban ne luTa
jo bahaar ban ke aae wo ghubar ban ke bhaTke
kabhi to saba ne chheDa kabhi hai KHizan ne luTa
meri pa-e-justuju ko meri KHu-e-arzu ko
mere raste mein aa kar nae imtihan ne luTa
na mila sukun aaKHir jo jahan-e-rang-o-bu mein
na mujhe kisi ne jaana mujhe hai jahan ne luTa
nahin hai gila kisi se na 'ada' koi shikayat
mujhe zabt-e-gham ne roka gham-e-na-gahan ne luTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.