kabhi mili hai jo fursat to ye hisab kiya
kabhī milī hai jo fursat to ye hisāb kiyā
savāb kitne kiye kitnā irtikāb kiyā
hamesha apne amal kā ḳhud ehtisāb kiyā
ḳhud apne aap ko aise bhī be-naqāb kiyā
tamām umr bhaTakte rahe gumānoñ meñ
vo shai milī hī nahīñ jis kā intiḳhāb kiyā
darāz kar na sake phir bhī kāsa-e-ġhairat
tarah tarah se tabī.at ne be-hijāb kiyā
kabhī to zabt ne dariyā ko kar diyā sahrā
kabhī junūñ ne bhī sahrā ko aab aab kiyā
alag na ho sakā dil yād-e-raftagāñ se kabhī
tire ḳhayāl se har-chand ijtināb kiyā
ye zindagī hameñ kaise muaaf kar detī
vo vaqt vaqt thā ham ne jise ḳharāb kiyā
javāb de ga.iiñ saarī zihānateñ 'sālim'
kisī savāl ne tā-umr lā-javāb kiyā
kabhi mili hai jo fursat to ye hisab kiya
sawab kitne kiye kitna irtikab kiya
hamesha apne amal ka KHud ehtisab kiya
KHud apne aap ko aise bhi be-naqab kiya
tamam umr bhaTakte rahe gumanon mein
wo shai mili hi nahin jis ka intiKHab kiya
daraaz kar na sake phir bhi kasa-e-ghairat
tarah tarah se tabiat ne be-hijab kiya
kabhi to zabt ne dariya ko kar diya sahra
kabhi junun ne bhi sahra ko aab aab kiya
alag na ho saka dil yaad-e-raftagan se kabhi
tere KHayal se har-chand ijtinab kiya
ye zindagi hamein kaise muaf kar deti
wo waqt waqt tha hum ne jise KHarab kiya
jawab de gain sari zihanaten 'salim'
kisi sawal ne ta-umr la-jawab kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.