kabhi miT kar na fana hasrat-o-arman honge
kabhī miT kar na fanā hasrat-o-armāñ hoñge
ban ke dāġh-e-dil-e-māyūs numāyāñ hoñge
dāġh-hā-e-dil-e-sozāñ ko maiñ rakhtā huuñ aziiz
yahī ik roz ayāġh-e-mai-e-irfāñ hoñge
merī ulfat ne baḌhāyā hai tirā husn-o-jamāl
mah-jabīñ ab tujhe dekheñge to hairāñ hoñge
sāya-e-zulf-e-pareshāñ jo samajhte haiñ tujhe
vo tire shukr-guzār ai shab-e-hijrāñ hoñge
shikva-e-jor par ai dost na ho sharminda
tū jo pachhtā.egā ham aur pashemāñ hoñge
raas aa.egā unhīñ ko ye junūn-e-ulfat
jo gul-e-tar kī tarah chāk-garebāñ hoñge
dekh kar shaiḳh-o-barahman kī adāvat yā-rab
sochtā huuñ kabhī insān bhī insāñ hoñge
do bahāroñ ko na dāvat ki asīrān-e-qafas
āmad-e-fasl-e-bahārī se pareshāñ hoñge
kabhi miT kar na fana hasrat-o-arman honge
ban ke dagh-e-dil-e-mayus numayan honge
dagh-ha-e-dil-e-sozan ko main rakhta hun aziz
yahi ek roz ayagh-e-mai-e-irfan honge
meri ulfat ne baDhaya hai tera husn-o-jamal
mah-jabin ab tujhe dekhenge to hairan honge
saya-e-zulf-e-pareshan jo samajhte hain tujhe
wo tere shukr-guzar ai shab-e-hijran honge
shikwa-e-jor par ai dost na ho sharminda
tu jo pachhtaega hum aur pasheman honge
ras aaega unhin ko ye junun-e-ulfat
jo gul-e-tar ki tarah chaak-gareban honge
dekh kar shaiKH-o-barahman ki adawat ya-rab
sochta hun kabhi insan bhi insan honge
do bahaaron ko na dawat ki asiran-e-qafas
aamad-e-fasl-e-bahaari se pareshan honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.