kabhi mujhko bhi mera chehra dikha
kabhī mujh ko bhī merā chehra dikhā
mujhe merā ā.īna kar ai ḳhudā
mire ghar kī dīvāreñ haT jaa.eñ to
mire ghar meñ bhī aa.e taaza havā
huī shaam āñkhoñ ke ākāsh se
sahīfe utarne kā vaqt aa gayā
samandar kī vo al-‘atash-al-‘atash
vo ḳhālī gilāsoñ se sar phoḌnā
baḌe shahroñ meñ jaane kyoñ in dinoñ
bahut shor hai merī tanhā.ī kā
kabhi mujh ko bhi mera chehra dikha
mujhe mera aaina kar ai KHuda
mere ghar ki diwaren haT jaen to
mere ghar mein bhi aae taza hawa
hui sham aankhon ke aakash se
sahife utarne ka waqt aa gaya
samandar ki wo al-‘atash-al-‘atash
wo KHali gilason se sar phoDna
baDe shahron mein jaane kyon in dinon
bahut shor hai meri tanhai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.