kabhi na manzil ko pa sakega wo jis mein azm-e-jawan nahin hai
kabhi na manzil ko pa sakega wo jis mein azm-e-jawan nahin hai
Shabnam Kamali
MORE BYShabnam Kamali
kabhī na manzil ko pā sakegā vo jis meñ azm-e-javāñ nahīñ hai
husūl-e-maqsad meñ ho jo koshish to vo kabhī rā.egāñ nahīñ hai
haiñ kasb-e-zar meñ sabhī pareshāñ isī ko samjhe haiñ dīn-o-īmāñ
magar samajhte nahīñ ye nādāñ ki zindagī jāvedāñ nahīñ hai
ajiib bū hai ajiib rangat na dilkashī hai na koī nik.hat
ye gul-kada koī aur hogā mirā hasīñ gulsitāñ nahīñ hai
maiñ dekhtā huuñ ki jaur-e-gulchīñ pe ro rahī haiñ tamām shāḳheñ
yahī sabab hai ki sehn-e-gul meñ kahīñ mirā āshiyāñ nahīñ hai
mire hī aañsū chamak rahe haiñ ba-shakl-e-anjum bulandiyoñ par
ki bazm-e-gītī meñ koī 'shabnam' kā mūnis-o-mehrbāñ nahīñ hai
kabhi na manzil ko pa sakega wo jis mein azm-e-jawan nahin hai
husul-e-maqsad mein ho jo koshish to wo kabhi raegan nahin hai
hain kasb-e-zar mein sabhi pareshan isi ko samjhe hain din-o-iman
magar samajhte nahin ye nadan ki zindagi jawedan nahin hai
ajib bu hai ajib rangat na dilkashi hai na koi nikhat
ye gul-kada koi aur hoga mera hasin gulsitan nahin hai
main dekhta hun ki jaur-e-gulchin pe ro rahi hain tamam shaKHen
yahi sabab hai ki sehn-e-gul mein kahin mera aashiyan nahin hai
mere hi aansu chamak rahe hain ba-shakl-e-anjum bulandiyon par
ki bazm-e-giti mein koi 'shabnam' ka munis-o-mehrban nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.