kabhi na mere qalam ki giraft mein aae
kabhī na mere qalam kī giraft meñ aa.e
ye bhāgte hue lamhe ye dauḌte saa.e
vo zor ab mire sūkhe hue badan meñ kahāñ
muhāl hai mirī āvāz duur tak jaa.e
zamīn-e-sher meñ jab quvvat-e-numū hī nahīñ
hazār sīñchiye sabza bhī kyā nazar aa.e
yahāñ to maslahatan jhuuT ko bhī sach kahiye
ham aisī maslahat-e-nāravā se baaz aa.e
ham aise ahl-e-nazar ke liye farishta hai
vo aadmī jo kisī aadmī ke kaam aa.e
ab aane vaale na.e saal par nazar rakkho
chaman meñ phuul khilā.e ki aag barsā.e
'asar' ġhayūr agar hai to kaise mumkin hai
kisī ke sāmne dast-e-savāl phailā.e
kabhi na mere qalam ki giraft mein aae
ye bhagte hue lamhe ye dauDte sae
wo zor ab mere sukhe hue badan mein kahan
muhaal hai meri aawaz dur tak jae
zamin-e-sher mein jab quwwat-e-numu hi nahin
hazar sinchiye sabza bhi kya nazar aae
yahan to maslahatan jhuT ko bhi sach kahiye
hum aisi maslahat-e-narawa se baz aae
hum aise ahl-e-nazar ke liye farishta hai
wo aadmi jo kisi aadmi ke kaam aae
ab aane wale nae sal par nazar rakkho
chaman mein phul khilae ki aag barsae
'asar' ghayur agar hai to kaise mumkin hai
kisi ke samne dast-e-sawal phailae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.