kabhi na pahunchega nuqsan ishq ke hathon
kabhī na pahuñchegā nuqsān ishq ke hāthoñ
milegā dard kā darmān ishq ke hāthoñ
kisī ke chāk-e-garebāñ kā ye rafūgar hai
hai koī chāk-garebān ishq ke hāthoñ
gavāhī surḳhī-e-ḳhūn-e-shahīd detī hai
huā hai surḳh-rū insān ishq ke hāthoñ
havas ne aag lagā.ī hai gulsitānoñ meñ
banī hai aag gulistān ishq ke hāthoñ
ba-dast-e-aql-o-ḳhirad ye sañvar na pā.egī
sañvāro zulf-e-pareshān ishq ke hāthoñ
havas ke hāthoñ ba-juz iztirāb kuchh na milā
milā sukūn kā sāmān ishq ke hāthoñ
shikast-e-fāsh se do-chār ho rahī hai havas
abhī talak sar-e-maidān ishq ke hāthoñ
banā hai markaz-e-ushshāq-o-rashk-e-bāġh-e-bahisht
ye karbalā kā bayābān ishq ke hāthoñ
havas ke hāthoñ jo badnām hone vaalā thā
vo 'nūrī' ho gayā zīshān ishq ke hāthoñ
kabhi na pahunchega nuqsan ishq ke hathon
milega dard ka darman ishq ke hathon
kisi ke chaak-e-gareban ka ye rafugar hai
hai koi chaak-gareban ishq ke hathon
gawahi surKHi-e-KHun-e-shahid deti hai
hua hai surKH-ru insan ishq ke hathon
hawas ne aag lagai hai gulsitanon mein
bani hai aag gulistan ishq ke hathon
ba-dast-e-aql-o-KHirad ye sanwar na paegi
sanwaro zulf-e-pareshan ishq ke hathon
hawas ke hathon ba-juz iztirab kuchh na mila
mila sukun ka saman ishq ke hathon
shikast-e-fash se do-chaar ho rahi hai hawas
abhi talak sar-e-maidan ishq ke hathon
bana hai markaz-e-ushshaq-o-rashk-e-bagh-e-bahisht
ye karbala ka bayaban ishq ke hathon
hawas ke hathon jo badnam hone wala tha
wo 'nuri' ho gaya zishan ishq ke hathon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.