kabhi nafrat ka qissa muKHtasar hone nahin deta
kabhī nafrat kā qissa muḳhtasar hone nahīñ detā
kisī sūrat vo ham ko mo'atabar hone nahīñ detā
zarā us kā karishma dekh koī inqalāb aa.e
nizām-e-kohna ko zer-o-zabar hone nahīñ detā
zarā Tahnī baḌhī aur bāġhbāñ ne kaaT kar pheñkī
use paudā hī rakhtā hai shajar hone nahīñ detā
jo mil baiThe to phir sayyād kī kuchh chal na pā.egī
anādil ko vo yuuñ shīr-o-shakar hone nahīñ detā
hamāre qāfile ke har musāfir meñ ye ḳhūbī hai
kisī ko bhī vo apnā rāhbar hone nahīñ detā
samajh baiThā use tiryāq jis ko zahr kahtā thā
tujhe to aa.ina bhī shīshagar hone nahīñ detā
ayaañ ho jā.egā is tarah se rang-e-bahār 'az.har'
lahū se is liye chehra vo tar hone nahīñ detā
kabhi nafrat ka qissa muKHtasar hone nahin deta
kisi surat wo hum ko mo'atabar hone nahin deta
zara us ka karishma dekh koi inqalab aae
nizam-e-kohna ko zer-o-zabar hone nahin deta
zara Tahni baDhi aur baghban ne kaT kar phenki
use pauda hi rakhta hai shajar hone nahin deta
jo mil baiThe to phir sayyaad ki kuchh chal na paegi
anadil ko wo yun shir-o-shakar hone nahin deta
hamare qafile ke har musafir mein ye KHubi hai
kisi ko bhi wo apna rahbar hone nahin deta
samajh baiTha use tiryaq jis ko zahr kahta tha
tujhe to aaina bhi shishagar hone nahin deta
ayan ho jaega is tarah se rang-e-bahaar 'azhar'
lahu se is liye chehra wo tar hone nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.