kabhi pa nahin kabhi par nahin
kabhī pā nahīñ kabhī par nahīñ
rukā phir bhī apnā safar nahīñ
mujhe manziloñ kī talāsh hai
mirī rāstoñ pe nazar nahīñ
mire saath ab tū chalā na kar
mire saath terā safar nahīñ
miTā kab hai kis ne miTā diyā
use ye bhī dekho ḳhabar nahīñ
jise sun ke aa.e surūr sā
kisī baat meñ vo asar nahīñ
mire hausloñ kī bhī daad de
tirī mehnatoñ kā samar nahīñ
binā pattharoñ ke banī ho jo
koī aisī rāhguzar nahīñ
kabhi pa nahin kabhi par nahin
ruka phir bhi apna safar nahin
mujhe manzilon ki talash hai
meri raston pe nazar nahin
mere sath ab tu chala na kar
mere sath tera safar nahin
miTa kab hai kis ne miTa diya
use ye bhi dekho KHabar nahin
jise sun ke aae surur sa
kisi baat mein wo asar nahin
mere hauslon ki bhi dad de
teri mehnaton ka samar nahin
bina pattharon ke bani ho jo
koi aisi rahguzar nahin
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 350)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.