kabhi qalaq mein kabhi fikr-o-intizar mein hain
kabhī qalaq meñ kabhī fikr-o-intizār meñ haiñ
hazār tarah ke sadme firāq-e-yār meñ haiñ
vo sun ke qissa-e-ġham hañste hañste loT gayā
ye shoḳhiyāñ bhī na.ī shoḳh-e-gul-ezār meñ haiñ
maiñ kyā bayān karūñ aage tere ai 'zāhid'
ajiib kaifiyateñ nashsha ke ḳhumār meñ haiñ
jahāñ meñ ham ne uThā.e the ranj kyā kyā kuchh
fanā ke baad baḌe chain se mazār meñ haiñ
vo ham ko qatl kareñ chāheñ TukḌe TukḌe kareñ
ham un ke bas meñ haiñ ham un ke iḳhtiyār meñ haiñ
ḳhudā kare ki na aa.eñ vo fātiha paḌhne
ki tiin din abhī bhārī mujhe mazār meñ haiñ
nasīhat aap to karte haiñ hazrat-e-nāseh
maiñ jāntā hī nahīñ aap kis shumār meñ haiñ
payāmbar ye bhī kahnā hamārī jānib se
tumhārī yaad meñ haiñ aur intizār meñ haiñ
ḳhudā ke fazl se kaTtī hai lutf se ai 'ranj'
baḌe maze meñ haiñ ham bhī baḌī bahār meñ haiñ
kabhi qalaq mein kabhi fikr-o-intizar mein hain
hazar tarah ke sadme firaq-e-yar mein hain
wo sun ke qissa-e-gham hanste hanste loT gaya
ye shoKHiyan bhi nai shoKH-e-gul-ezar mein hain
main kya bayan karun aage tere ai 'zahid'
ajib kaifiyaten nashsha ke KHumar mein hain
jahan mein hum ne uThae the ranj kya kya kuchh
fana ke baad baDe chain se mazar mein hain
wo hum ko qatl karen chahen TukDe TukDe karen
hum un ke bas mein hain hum un ke iKHtiyar mein hain
KHuda kare ki na aaen wo fatiha paDhne
ki tin din abhi bhaari mujhe mazar mein hain
nasihat aap to karte hain hazrat-e-naseh
main jaanta hi nahin aap kis shumar mein hain
payambar ye bhi kahna hamari jaanib se
tumhaari yaad mein hain aur intizar mein hain
KHuda ke fazl se kaTti hai lutf se ai 'ranj'
baDe maze mein hain hum bhi baDi bahaar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.