kabhi qarib kabhi dur se guzarte hue
kabhī qarīb kabhī duur se guzarte hue
azaab dete haiñ kuchh log mere barte hue
qarīb paanī ke jaanā nahīñ kisī sūrat
vasiyyat aag ne kī thī sharar ko marte hue
banā hai jab se mirā jism hairatoñ kā maqām
maiñ dekhtā huuñ jahāñ meñ sabhī ko Darte hue
yatīm lagne lagā ishq merā mujh ko ḳhud
maiñ ro paḌā huuñ nazar se tirī utarte hue
huā hai ranj mujhe raat kī nahūsat kā
ki ḳhvāb duur hue TuuT kar bikharte hue
hamārī āñkhoñ pe ḳhālī nigāh rakhtā hai
vo aa.ine ko nahīñ dekhtā sañvarte hue
ḳhayāl yūñhī hai ik guzrā be-ma.ānī sā
dil-o-dimāġh mirā be-qarār karte hue
vahī hai ishq purānā ise nayā na kaho
jhijhak rahe haiñ jahāñ log paañv dharte hue
vo mere TuuTe marāsim kā naqsh-e-āḳhir thā
ki tham ga.e haiñ mire haath rang bharte hue
kabhi qarib kabhi dur se guzarte hue
azab dete hain kuchh log mere barte hue
qarib pani ke jaana nahin kisi surat
wasiyyat aag ne ki thi sharar ko marte hue
bana hai jab se mera jism hairaton ka maqam
main dekhta hun jahan mein sabhi ko Darte hue
yatim lagne laga ishq mera mujh ko KHud
main ro paDa hun nazar se teri utarte hue
hua hai ranj mujhe raat ki nahusat ka
ki KHwab dur hue TuT kar bikharte hue
hamari aankhon pe KHali nigah rakhta hai
wo aaine ko nahin dekhta sanwarte hue
KHayal yunhi hai ek guzra be-maani sa
dil-o-dimagh mera be-qarar karte hue
wahi hai ishq purana ise naya na kaho
jhijhak rahe hain jahan log panw dharte hue
wo mere TuTe marasim ka naqsh-e-aKHir tha
ki tham gae hain mere hath rang bharte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.