kabhi raat kali kabhi chandni hai
kabhī raat kaalī kabhī chāñdnī hai
yahī zindagī hai yahī zindagī hai
badalne kī kyoñ koshishoñ meñ lagī hai
tū hai zindagī jaisī achchhī-bhalī hai
fanā us ko miTTī meñ honā hai phir bhī
gumānoñ se kitne bharā aadmī hai
ishāroñ pe tere maiñ chal to rahā huuñ
batā zindagī aur kyā chāhtī hai
nahīñ zindagī meñ sivā koī tere
tamannā tū pahlī tū hī āḳhirī hai
zarūrī hai koshish bhī shiddat se karnā
tamannā koī gar tumhārī baḌī hai
mukammal nahīñ koī duniyā meñ 'hīrā'
har ik shaḳhs meñ kuchh na kuchh to kamī hai
kabhi raat kali kabhi chandni hai
yahi zindagi hai yahi zindagi hai
badalne ki kyon koshishon mein lagi hai
tu hai zindagi jaisi achchhi-bhali hai
fana us ko miTTi mein hona hai phir bhi
gumanon se kitne bhara aadmi hai
ishaaron pe tere main chal to raha hun
bata zindagi aur kya chahti hai
nahin zindagi mein siwa koi tere
tamanna tu pahli tu hi aaKHiri hai
zaruri hai koshish bhi shiddat se karna
tamanna koi gar tumhaari baDi hai
mukammal nahin koi duniya mein 'hira'
har ek shaKHs mein kuchh na kuchh to kami hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.