Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi rauzanon se pukarna kabhi dar ke chaak se dekhna

Yaqoob Tasawwur

kabhi rauzanon se pukarna kabhi dar ke chaak se dekhna

Yaqoob Tasawwur

MORE BYYaqoob Tasawwur

    kabhī rauzanoñ se pukārnā kabhī dar ke chaak se dekhnā

    sar-e-bazm us kabhī mujhe baḌe inhimāk se dekhnā

    agar us ke husn-o-jamāl chhiḌe tazkira kabhī bazm meñ

    to phir us ke ruḳh pe hijāb ke ka.ī rang paak se dekhnā

    ye mirā usuul ġhalat sahī mirī zindagī asaas hai

    ki jise bhī dekhnā dosto nazar-e-tapāk se dekhnā

    mirī tarah lauT ke aa.e jab hai yahī nasīb-e-bahār bhī

    gul-o-barg farsh pe muntashir to shajar halāk se dekhnā

    kabhī husn-e-paikar-e-zīst par jo nazar paḌe zahe tajziya

    to phir ā.inoñ meñ kuchh aks bhī baḌe sharmnāk se dekhnā

    hai duā ki quvvat-e-sabr tāqat-e-zabt juzv-e-hayāt ho

    yahāñ vāqi.āt qadam qadam haiñ jo ḳhaufnāk se dekhnā

    gul-e-nam se paikar-e-zīst meñ hameñ muntaqil jo kiyā gayā

    to sabhī manāzir-e-zindagī haiñ nigāh-e-ḳhāk se dekhnā

    kabhi rauzanon se pukarna kabhi dar ke chaak se dekhna

    sar-e-bazm us ka kabhi mujhe baDe inhimak se dekhna

    agar us ke husn-o-jamal ka chhiDe tazkira kabhi bazm mein

    to phir us ke ruKH pe hijab ke kai rang pak se dekhna

    ye mera usul ghalat sahi meri zindagi ki asas hai

    ki jise bhi dekhna dosto nazar-e-tapak se dekhna

    meri tarah lauT ke aae jab hai yahi nasib-e-bahaar bhi

    gul-o-barg farsh pe muntashir to shajar halak se dekhna

    kabhi husn-e-paikar-e-zist par jo nazar paDe zahe tajziya

    to phir aainon mein kuchh aks bhi baDe sharmnak se dekhna

    hai dua ki quwwat-e-sabr taqat-e-zabt juzw-e-hayat ho

    yahan waqiat qadam qadam hain jo KHaufnak se dekhna

    gul-e-nam se paikar-e-zist mein hamein muntaqil jo kiya gaya

    to sabhi manazir-e-zindagi hain nigah-e-KHak se dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now