kabhi sahra kabhi gulzar bhi hai
kabhī sahrā kabhī gulzār bhī hai
mohabbat kaif bhī āzār bhī hai
merī palkoñ se aañsū chun ke dekho
har ik aañsū meñ nok-e-ḳhār bhī hai
chale jab rāh-e-haq par sochnā kyā
shajar yaañ koī sāya-dār bhī hai
yahāñ yūsuf bike haiñ kauḌiyoñ meñ
ye duniyā misr kā bāzār bhī hai
sabā ham-rāz-e-gul hotī hai lekin
ta.alluq bā.is-e-āzār bhī hai
kaho haq baat mandela kī mānind
agar kuchh jur.at-e-iz.hār bhī hai
vafā ke naam par dukh sahne vaalo
judā.ī marham-e-āzār bhī hai
thī us kī aañkh pur-nam vaqt-e-ruḳhsat
dil-e-ranjūr ab sarshār bhī hai
kabhi sahra kabhi gulzar bhi hai
mohabbat kaif bhi aazar bhi hai
meri palkon se aansu chun ke dekho
har ek aansu mein nok-e-KHar bhi hai
chale jab rah-e-haq par sochna kya
shajar yan koi saya-dar bhi hai
yahan yusuf bike hain kauDiyon mein
ye duniya misr ka bazar bhi hai
saba ham-raaz-e-gul hoti hai lekin
talluq bais-e-azar bhi hai
kaho haq baat mandela ki manind
agar kuchh jurat-e-izhaar bhi hai
wafa ke nam par dukh sahne walo
judai marham-e-azar bhi hai
thi us ki aankh pur-nam waqt-e-ruKHsat
dil-e-ranjur ab sarshaar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.