kabhi sanam to kabhi wo KHuda tha aankhon mein
kabhī sanam to kabhī vo ḳhudā thā āñkhoñ meñ
khulī jo aañkh to manzar judā thā āñkhoñ meñ
bikhar rahe the zamān-o-makāñ meñ sar kitne
ki pichhlī raat ajab ran paḌā thā āñkhoñ meñ
usī se aa.ī thī kaun-o-makāñ kī āvāzeñ
vo ek dar jo sahar tak khulā thā āñkhoñ meñ
guzar gayā vo mire dil se sar jhukā.e hue
phir us ke baa'd añdherā baḌā thā āñkhoñ meñ
ajiib rang se us ne dikhāyā rang-e-bahār
chaman chaman thā magar gul khilā thā āñkhoñ meñ
abhī kiyā thā hisār-e-ḳhayāl ke bāhar
zarā sī der meñ vo phir khaḌā thā āñkhoñ meñ
hujūm-e-sā.at-e-ḳhālī na āsmāñ na zamīñ
darūn-e-zāt kā vo sāneha thā āñkhoñ meñ
tilism-e-saut-o-sadā aur nigār-ḳhāna-e-rang
har ek aan meñ manzar nayā thā āñkhoñ meñ
bas is tarah se badan kā safar tamām huā
nazar thī jānib-e-sāġhar ḳhudā thā āñkhoñ meñ
usī ne mere taġhazzul ko paash paash kiyā
vo aadmī jo barahna khaḌā thā āñkhoñ meñ
na maiñ thā aur na tum the na tīsrā koī
badan ke paar badan dūsrā thā āñkhoñ meñ
vo jalva-rez suḳhan-dar-suḳhan thā mere liye
vo husn-e-ḳhvāb sadā-dar-sadā thā āñkhoñ meñ
ab us ke qurb kā 'ajmal' hisāb kyā rakhtā
tamām shab kā ajab silsila thā āñkhoñ meñ
kabhi sanam to kabhi wo KHuda tha aankhon mein
khuli jo aankh to manzar juda tha aankhon mein
bikhar rahe the zaman-o-makan mein sar kitne
ki pichhli raat ajab ran paDa tha aankhon mein
usi se aai thi kaun-o-makan ki aawazen
wo ek dar jo sahar tak khula tha aankhon mein
guzar gaya wo mere dil se sar jhukae hue
phir us ke ba'd andhera baDa tha aankhon mein
ajib rang se us ne dikhaya rang-e-bahaar
chaman chaman tha magar gul khila tha aankhon mein
abhi kiya tha hisar-e-KHayal ke bahar
zara si der mein wo phir khaDa tha aankhon mein
hujum-e-saat-e-KHali na aasman na zamin
darun-e-zat ka wo saneha tha aankhon mein
tilism-e-saut-o-sada aur nigar-KHana-e-rang
har ek aan mein manzar naya tha aankhon mein
bas is tarah se badan ka safar tamam hua
nazar thi jaanib-e-saghar KHuda tha aankhon mein
usi ne mere taghazzul ko pash pash kiya
wo aadmi jo barahna khaDa tha aankhon mein
na main tha aur na tum the na tisra koi
badan ke par badan dusra tha aankhon mein
wo jalwa-rez suKHan-dar-suKHan tha mere liye
wo husn-e-KHwab sada-dar-sada tha aankhon mein
ab us ke qurb ka 'ajmal' hisab kya rakhta
tamam shab ka ajab silsila tha aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.