kabhi sarsar hai kabhi baad-e-saba hai saqi
kabhī sarsar hai kabhī bād-e-sabā hai saaqī
zindagī silsila-e-bīm-o-rajā hai saaqī
na kudūrat hai kisī se na gila hai saaqī
maiñ ne ḳhud apne muqaddar ko likhā hai saaqī
apne māhaul meñ shāmil huuñ maiñ auroñ kī tarah
mere jiine kā magar taur judā hai saaqī
merā chehra mire jazbāt kā akkās nahīñ
merā dil dekh jahāñ hashr bapā hai saaqī
kuchh kaheñ ahl-e-ḳhirad fikr nahīñ hai mujh ko
mere a.amāl ḳhudā dekh rahā hai saaqī
muftī-o-mohtasib-o-vā.iz-o-qāzī-o-faqīh
terī āñkhoñ se kahīñ koī bachā hai saaqī
vāqif-e-rāz hai mai-ḳhāna-e-hastī kā 'na.īm'
us ke hoñToñ pe magar qufl-e-vafā hai saaqī
kabhi sarsar hai kabhi baad-e-saba hai saqi
zindagi silsila-e-bim-o-raja hai saqi
na kudurat hai kisi se na gila hai saqi
main ne KHud apne muqaddar ko likha hai saqi
apne mahaul mein shamil hun main auron ki tarah
mere jine ka magar taur juda hai saqi
mera chehra mere jazbaat ka akkas nahin
mera dil dekh jahan hashr bapa hai saqi
kuchh kahen ahl-e-KHirad fikr nahin hai mujh ko
mere aamal KHuda dekh raha hai saqi
mufti-o-mohtasib-o-waiz-o-qazi-o-faqih
teri aankhon se kahin koi bacha hai saqi
waqif-e-raaz hai mai-KHana-e-hasti ka 'naim'
us ke honTon pe magar qufl-e-wafa hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.