kabhi shisha kabhi aahan kabhi patthar banata hun
kabhī shīsha kabhī aahan kabhī patthar banātā huuñ
maiñ shā.ir huuñ tujhe kyā kyā dil-e-muztar banātā huuñ
tapā kar garmi-e-ehsās meñ be-jān lafzoñ ko
kahīñ sho.ala banātā huuñ kahīñ aḳhgar banātā huuñ
ise raġhbat kahūñ terī ki apne dil kī betābi
tasavvur meñ koī tasvīr maiñ aksar banātā huuñ
amal dīvāngī kā hai to kyoñ daanā kahūñ ḳhud ko
maiñ kāġhaz ke sipāhī kaaT kar lashkar banātā huuñ
ta.assub kī girā kartī haiñ jis jā bijliyāñ aksar
mujhe bhī zid hai aksar maiñ vahīñ pe ghar banātā huuñ
ḳhudā shāhid mujhe 'rizvāñ' yahī do kaam aate haiñ
jahāñ masjid banātā huuñ vahīñ mimbar banātā huuñ
kabhi shisha kabhi aahan kabhi patthar banata hun
main shair hun tujhe kya kya dil-e-muztar banata hun
tapa kar garmi-e-ehsas mein be-jaan lafzon ko
kahin shoala banata hun kahin aKHgar banata hun
ise raghbat kahun teri ki apne dil ki betabi
tasawwur mein koi taswir main aksar banata hun
amal diwangi ka hai to kyon dana kahun KHud ko
main kaghaz ke sipahi kaT kar lashkar banata hun
tassub ki gira karti hain jis ja bijliyan aksar
mujhe bhi zid hai aksar main wahin pe ghar banata hun
KHuda shahid mujhe 'rizwan' yahi do kaam aate hain
jahan masjid banata hun wahin mimbar banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.