kabhi shoalon pe kabhi barf pe chal kar dekha
kabhī sho.aloñ pe kabhī barf pe chal kar dekhā
ham ne har rang mohabbat meñ badal kar dekhā
merā saaya hī mujhe ḳhaufzada kartā hai
khol kar aañkh kabhī aañkh ko mal kar dekhā
sarfaroshī ne to pahchān liyā qātil ko
ḳhuun chehre pe shahīdoñ kā bhī mal kar dekhā
meherbāñ mujh pe hai vo log ye kahte haiñ magar
us ne dekhā hai to tevar hī badal kar dekhā
munjamid ḳhuun ke qatrāt fazā gard-ālūd
band kamre se jo āñgan meñ nikal kar dekhā
us kī fitrat na badalnī thī na badlī ab tak
us ne chehre ko ka.ī baar badal kar dekhā
kabhi shoalon pe kabhi barf pe chal kar dekha
hum ne har rang mohabbat mein badal kar dekha
mera saya hi mujhe KHaufzada karta hai
khol kar aankh kabhi aankh ko mal kar dekha
sarfaroshi ne to pahchan liya qatil ko
KHun chehre pe shahidon ka bhi mal kar dekha
meherban mujh pe hai wo log ye kahte hain magar
us ne dekha hai to tewar hi badal kar dekha
munjamid KHun ke qatraat faza gard-alud
band kamre se jo aangan mein nikal kar dekha
us ki fitrat na badalni thi na badli ab tak
us ne chehre ko kai bar badal kar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.