kabhi shuur kabhi dil kabhi suKHan mahke
kabhī shu'ūr kabhī dil kabhī suḳhan mahke
kaho vo she'r ki duniya-e-fikr-o-fan mahke
'atā hameñ bhī jo ho jaa.e 'mīr' kā andāz
to lafz lafz se mā'nī kā pairahan mahke
rahūñ ḳhamosh to phūloñ ko niiñd aa jaa.e
paḌhūñ jo she'r to lafzoñ kā bāñkpan mahke
larazte hoñToñ kī vo guftugū to yaad nahīñ
bas itnā yaad hai barsoñ lab-o-dahan mahke
dabī huī hai jo sadiyoñ se ġham kī chingārī
bhaḌak uThe to ḳhayāloñ kī anjuman mahke
kabhī to aisā zamāna bhī aa.e ai 'gauhar'
mohabbatoñ kī fazā se mirā vatan mahke
kabhi shu'ur kabhi dil kabhi suKHan mahke
kaho wo she'r ki duniya-e-fikr-o-fan mahke
'ata hamein bhi jo ho jae 'mir' ka andaz
to lafz lafz se ma'ni ka pairahan mahke
rahun KHamosh to phulon ko nind aa jae
paDhun jo she'r to lafzon ka bankpan mahke
larazte honTon ki wo guftugu to yaad nahin
bas itna yaad hai barson lab-o-dahan mahke
dabi hui hai jo sadiyon se gham ki chingari
bhaDak uThe to KHayalon ki anjuman mahke
kabhi to aisa zamana bhi aae ai 'gauhar'
mohabbaton ki faza se mera watan mahke
- Book : Idraaq (Pg. 46)
- Author : Gohar Usmani
- Publication : Gohar Usmani (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.