kabhi sitam ko sitam na samjhe firaq ko bhi alam na samjhe
kabhi sitam ko sitam na samjhe firaq ko bhi alam na samjhe
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
kabhī sitam ko sitam na samjhe firāq ko bhī alam na samjhe
hue jo be-ḳhud to ham na samjhe ki zauq-e-hijr-o-visāl kyā hai
vo is tarah se hai jalva-farmā ki tālib-e-dīd hai zamāna
jo ham se madd-e-nazar thā chhupnā zuhūr kā naam kyoñ kiyā hai
maiñ apnī hālat pe kyoñ huuñ pur-ġham jahāñ meñ koī nahīñ hai ḳhurram
jo dil hai ġhunchoñ kā tang har dam guloñ kā siina phaTā huā hai
ye kam-sinī terī aur ye mazmūñ ye fikr-e-sālim ye tab-e-mauzūñ
zarūr hāsid kā dil ho pur-ḳhūñ ki tū ne 'maikash' ġhazab kiyā hai
kabhi sitam ko sitam na samjhe firaq ko bhi alam na samjhe
hue jo be-KHud to hum na samjhe ki zauq-e-hijr-o-visal kya hai
wo is tarah se hai jalwa-farma ki talib-e-did hai zamana
jo hum se madd-e-nazar tha chhupna zuhur ka nam kyon kiya hai
main apni haalat pe kyon hun pur-gham jahan mein koi nahin hai KHurram
jo dil hai ghunchon ka tang har dam gulon ka sina phaTa hua hai
ye kam-sini teri aur ye mazmun ye fikr-e-salim ye tab-e-mauzun
zarur hasid ka dil ho pur-KHun ki tu ne 'maikash' ghazab kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.