kabhi sukun kabhi hum ghuTan ki nazr hue
kabhī sukūn kabhī ham ghuTan kī nazr hue
ham aise log to apne hī man kī nazr hue
purāne ishq kī choTeñ abhī badan par thiiñ
so ishq chhoḌ diyā aur badan kī nazr hue
tamām umr guzārī hai sher kahne meñ
hamāre raat bhī din bhī suḳhan kī nazr hue
ye kis ke ḳhuun se rangī ga.ī haiñ dīvāreñ
ye kis ke ḳhvāb the jo is chaman kī nazr hue
nazar uThā ke jo dekhā palak jhapakne lagī
tumhārī diid ke manzar kiran kī nazr hue
hamārī ishq se 'farhat' kabhī banī hī nahīñ
bas us kī baat rakhī aur milan kī nazr hue
kabhi sukun kabhi hum ghuTan ki nazr hue
hum aise log to apne hi man ki nazr hue
purane ishq ki choTen abhi badan par thin
so ishq chhoD diya aur badan ki nazr hue
tamam umr guzari hai sher kahne mein
hamare raat bhi din bhi suKHan ki nazr hue
ye kis ke KHun se rangi gai hain diwaren
ye kis ke KHwab the jo is chaman ki nazr hue
nazar uTha ke jo dekha palak jhapakne lagi
tumhaari did ke manzar kiran ki nazr hue
hamari ishq se 'farhat' kabhi bani hi nahin
bas us ki baat rakhi aur milan ki nazr hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.