kabhi su-e-manzil jo hum dekhte hain
kabhī sū-e-manzil jo ham dekhte haiñ
tumhāre hī naqsh-e-qadam dekhte haiñ
tirī aañkh meñ apnā ġham dekhte haiñ
zamāne meñ aisā to kam dekhte haiñ
bharī bazm meñ aaj ik dūsre ko
na tum dekhte ho na ham dekhte haiñ
baḌe log karte haiñ jo kārnāme
unheñ pattharoñ ke sanam dekhte haiñ
javāñ azm rakhte haiñ rāh-e-vafā meñ
kahāñ ham ye thakte qadam dekhte haiñ
vatīra hai jin kā yahī zohd-o-taqvā
tasavvur meñ shāh-e-umam dekhte haiñ
jo uljhe hue haiñ ġham-e-zindagī meñ
tirī zulf-e-barham ke ḳham dekhte haiñ
tabī.at meñ jin kī koī maslahat ho
vo chalne se pahle qadam dekhte haiñ
mohabbat hai 'anvār' ta.amīr-e-ālam
mohabbat se har shai ko ham dekhte haiñ
kabhi su-e-manzil jo hum dekhte hain
tumhaare hi naqsh-e-qadam dekhte hain
teri aankh mein apna gham dekhte hain
zamane mein aisa to kam dekhte hain
bhari bazm mein aaj ek dusre ko
na tum dekhte ho na hum dekhte hain
baDe log karte hain jo karname
unhen pattharon ke sanam dekhte hain
jawan azm rakhte hain rah-e-wafa mein
kahan hum ye thakte qadam dekhte hain
watira hai jin ka yahi zohd-o-taqwa
tasawwur mein shah-e-umam dekhte hain
jo uljhe hue hain gham-e-zindagi mein
teri zulf-e-barham ke KHam dekhte hain
tabiat mein jin ki koi maslahat ho
wo chalne se pahle qadam dekhte hain
mohabbat hai 'anwar' tamir-e-alam
mohabbat se har shai ko hum dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.