kabhi suraj kabhi mahtab bana leta hun
kabhī sūraj kabhī mahtāb banā letā huuñ
raushnī ke sabhī asbāb banā letā huuñ
mere aañsū kabhī bekār nahīñ jaate haiñ
un ko maiñ gauhar-e-nāyāb banā letā huuñ
yahī āñkheñ haiñ banā letā huuñ sahrā jin ko
aur kabhī un ko hī sailāb banā letā huuñ
kabhī ḳhvāboñ ko haqīqat meñ badal letā huuñ
aur haqīqat ko kabhī ḳhvāb banā letā huuñ
merī kāvish kabhī māyūs nahīñ kartī mujhe
ho zamīñ kaisī bhī shādāb banā letā huuñ
kabhi suraj kabhi mahtab bana leta hun
raushni ke sabhi asbab bana leta hun
mere aansu kabhi bekar nahin jate hain
un ko main gauhar-e-nayab bana leta hun
yahi aankhen hain bana leta hun sahra jin ko
aur kabhi un ko hi sailab bana leta hun
kabhi KHwabon ko haqiqat mein badal leta hun
aur haqiqat ko kabhi KHwab bana leta hun
meri kawish kabhi mayus nahin karti mujhe
ho zamin kaisi bhi shadab bana leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.