kabhi tasawwur mein aa rahi ho kabhi taKHayyul pe chha rahi ho
kabhi tasawwur mein aa rahi ho kabhi taKHayyul pe chha rahi ho
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
kabhī tasavvur meñ aa rahī ho kabhī taḳhayyul pe chhā rahī ho
mire shabistān-e-ārzū ko nigār-ḳhāna banā rahī ho
rah-e-vafā meñ qadam qadam par na.ī na.ī shart lā rahī ho
ye kis ne bahkā diyā hai tum ko ye kyā shagūfe khilā rahī ho
ye ḳhud-parastī-e-nāravā hai ye bevafā.ī kī intihā hai
tumhārī ḳhātir jo luT chukā hai usī se āñkheñ churā rahī ho
bigāḌ meñ ik banāv sā hai lagāvaToñ meñ khichāo sā hai
diyā umīdoñ kā mere dil meñ jalā rahī ho bujhā rahī ho
fazā bhī nā-sāz hai jahāñ kī vahāñ vafā saañs legī kyūñkar
havā bhī ġhammāz hai jahāñ kī vahāñ mujhe kyoñ bulā rahī ho
agarche sahrā-e-zindagī meñ koī mirā ham-safar nahīñ hai
magar ye mahsūs ho rahā hai ki tum mire saath aa rahī ho
phir aaj yaad un kī aa rahī hai magar is andāz se ki 'ehsāñ'
urūs-e-nau jaise pahlī shab meñ badan ko apne churā rahī ho
kabhi tasawwur mein aa rahi ho kabhi taKHayyul pe chha rahi ho
mere shabistan-e-arzu ko nigar-KHana bana rahi ho
rah-e-wafa mein qadam qadam par nai nai shart la rahi ho
ye kis ne bahka diya hai tum ko ye kya shagufe khila rahi ho
ye KHud-parasti-e-narawa hai ye bewafai ki intiha hai
tumhaari KHatir jo luT chuka hai usi se aankhen chura rahi ho
bigaD mein ek banaw sa hai lagawaTon mein khichao sa hai
diya umidon ka mere dil mein jala rahi ho bujha rahi ho
faza bhi na-saz hai jahan ki wahan wafa sans legi kyunkar
hawa bhi ghammaz hai jahan ki wahan mujhe kyon bula rahi ho
agarche sahra-e-zindagi mein koi mera ham-safar nahin hai
magar ye mahsus ho raha hai ki tum mere sath aa rahi ho
phir aaj yaad un ki aa rahi hai magar is andaz se ki 'ehsan'
urus-e-nau jaise pahli shab mein badan ko apne chura rahi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.