kabhi taskin kabhi aazar bhi hai
kabhī taskīñ kabhī āzār bhī hai
mohabbat phuul bhī hai ḳhaar bhī hai
pighal jaatī hai misl-e-sham.a lekin
mohabbat āhanī dīvār bhī hai
tire hoñToñ pe hai inkār lekin
tirī āñkhoñ meñ kuchh iqrār bhī hai
ba-zāhir haiñ sabhī ġham-ḳhvār lekin
haqīqat meñ koī ġham-ḳhvār bhī hai
kabhī un kī nazar hai vaj.h-e-taskīñ
kabhī chaltī huī talvār bhī hai
na jā is par ki maiñ chup huuñ sitam par
ye ḳhāmoshī lab-e-guftār bhī hai
zamāna tanz-farmā bhī hai lekin
ulajhnā ishq se be-kār bhī hai
faqat guftār par nāzāñ hai 'āsī'
ḳhayāl-e-ḳhūbī-e-kirdār bhī hai
kabhi taskin kabhi aazar bhi hai
mohabbat phul bhi hai KHar bhi hai
pighal jati hai misl-e-shama lekin
mohabbat aahani diwar bhi hai
tere honTon pe hai inkar lekin
teri aankhon mein kuchh iqrar bhi hai
ba-zahir hain sabhi gham-KHwar lekin
haqiqat mein koi gham-KHwar bhi hai
kabhi un ki nazar hai wajh-e-taskin
kabhi chalti hui talwar bhi hai
na ja is par ki main chup hun sitam par
ye KHamoshi lab-e-guftar bhi hai
zamana tanz-farma bhi hai lekin
ulajhna ishq se be-kar bhi hai
faqat guftar par nazan hai 'asi'
KHayal-e-KHubi-e-kirdar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.