Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi tawil kabhi muKHtasar bhi hoti hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

kabhi tawil kabhi muKHtasar bhi hoti hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    kabhī tavīl kabhī muḳhtasar bhī hotī hai

    har ek raat lekin sahar bhī hotī hai

    mujhe azal se milā ek to mizāj-e-junūñ

    aur ik adā tirī dīvāna-gar bhī hotī hai

    nigāh-e-yār ne kyā kyā khilā diye haiñ gul

    vahī rulātī vahī chāra-gar bhī hotī hai

    itāb-e-dost bhī kyoñ kar aziiz ho na mujhe

    karam us meñ chhupī ik nazar bhī hotī hai

    'habīb' aañkh se Tapkī huī ye ashk buuñd

    jigar ḳhuun kabhī ye guhar bhī hotī hai

    kabhi tawil kabhi muKHtasar bhi hoti hai

    har ek raat ki lekin sahar bhi hoti hai

    mujhe azal se mila ek to mizaj-e-junun

    aur ek ada teri diwana-gar bhi hoti hai

    nigah-e-yar ne kya kya khila diye hain gul

    wahi rulati wahi chaara-gar bhi hoti hai

    itab-e-dost bhi kyon kar aziz ho na mujhe

    karam ki us mein chhupi ek nazar bhi hoti hai

    'habib' aankh se Tapki hui ye ashk ki bund

    jigar ka KHun kabhi ye guhar bhi hoti hai

    RECITATIONS

    Deepak Pandit

    Deepak Pandit,

    Deepak Pandit

    kabhi taweel kabhi mukhtasar bhi hoti hai Deepak Pandit

    Source :
    • Book : نغمۂ زندگی (Pg. 33)
    • Author : جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now